zindagi maut ki panah men hai
ye haqiqat miri nigah men hai
zindagi gham ka isti.ara hai
dard jivan ke sal-o-mah men hai
maut ke baad phir se jiina hai
jaane kya kya dil-e-ilah men hai
koi majnun ki aankh se dekhe
kis qadar nuur ru-siyah men hai
itni raftar raushni ki nahin
jitni sur.at kisi ki aah men hai
mulk-e-kan.an gharq-e-zulmat hai
mah-e-kan.an ab bhi chaah men hai
bin laḌe jang harne vaale
tera dushman tiri sipah men hai
qabr-e-‘naqqash’ DhunDne vaalo
meri miTTi ḳhuda ki raah men hai
Leave a Reply