sarasar nafa tha lekin khasara ja raha hai
to kya jiiti hui baazi ko haara ja raha hai
safar aghaz karna tha jahan se zindagi ka
hamen un raston se ab guzara ja raha hai
ye kin ke paas girvi rakh diya ham ne samundar
ye kin logon ko sahil par utara ja raha hai
use jo bhi mila bach kar nahin aaya abhi tak
magar jo bach gaya milne dobara ja raha hai
‘salim’ ik akhiri mazmun baaqi tha ki chhapne
miri rusvai ka taaza shumara ja raha hai
Leave a Reply