
Jaleel Aali
ajab asbab karta ja raha huun
lahu simab karta ja raha huun
main apni mauj men ik raqs-e-digar
sar-e-girdab karta ja raha huun
azal se jagti ankhon jahan men
basar ik ḳhvab karta ja raha huun
sar-e-mizhgan ubharta hai jo taara
use mahtab karta ja raha huun
jo dil ik umr se banjar paḌe the
unhen sairab karta ja raha huun
main rah-e-shauq ki har kankari ko
dur-e-nayab karta ja raha huun
vo ejaz-e-suḳhan baḳhsha hai us ne
chaTanen aab karta ja raha huun

Leave a Reply