aisi tanha.i hai apne se bhi ghabrata huun main
jal rahi hain yaad ki sham.en bujha jaata huun main
aa ga.i aḳhir gham-e-dil vo bhi manzil aa ga.i
mujh ko samjhate the jo ab un ko samjhata huun main
zindagi azada-rau bahr-e-haqiqat be-kanar
mauj aati hai to baḌhta hi chala jaata huun main
bazm-e-fikr-o-hosh ho ya mahfil-e-aish-o-nishat
har jagah se chand nashtar chand gham laata huun main
zehn men yadon ke gulshan dil men azm-e-ju-e-shir
ik naya farhad paata huun jidhar jaata huun main
shab ke sannaTe men rah ghairon ke naghme ki tarah
ahl-e-dil ki bastiyon men aah ban jaata huun main
himmat-afza hai har ik uftad rah-e-ishq ki
Thokaren khata huun girta huun sambhal jaata huun main
ishq aksar mangta hai naghma-e-ishrat ki bhiik
ahl-e-duniya ki tahi-dasti pe sharmata huun main
sham-e-tanha.i bujha do jhilmilati sham.a bhi
in andheron hi men aksar raushni paata huun main
aaj aghosh-e-tamanna thi shanasa-e-visal
razm-gah-e-zindagi men taza-dam aata huun main
koi nazuk haath baazu thaam leta hai mira
Thokaren khata to huun lekin sambhal jaata huun main
apne miTne ka bhi gham hota hai is ehsas se
main nahin apna magar tera to kahlata huun main
hai suhani kis qadar un duriyon ki chandni
puchh leta hai koi ‘zaidi’ to itrata huun main
Leave a Reply