pyaar men tana-bana chalta rahta hai
ruThna aur manana chalta rahta hai
va.ade aur irade TuuTe rahte hain
piina aur pilana chalta rahta hai
na.i-naveli kaliyan khilti rahti hain
phulon ka murjhana chalta rahta hai
pyaar ke giit sunate rahte hain bhanvre
kaliyon ka sharmana chalta rahta hai
phulon ki rangat do ik din chal paati hai
ḳhushbu ka mahkana chalta rahta hai
Leave a Reply