ye aḳhiri zahmat hai zara aur Thahar jaa.en
bimar idhar jaa.e to phir aap udhar jaa.en
yuun zulmat-e-shab men chamak uThte hain sitare
jis tarah se ma.asum bhari niind men Dar jaa.en
achchha teri mahfil se chale jaate hain lekin
ye aur bata de ki kahan jaa.en kidhar jaa.en
ai dast-e-junun dida-e-ḳhun-bar ki sunna
daman men jo moti hain kahin vo na bikhar jaa.en
is daur ke mansur ye rakhte hain karamat
sau baar chaḌhen daar pe sau baar utar jaa.en
daman ko chhuḌa kar na ho maghrur idhar dekh
gar haath uTha duun mah-o-ḳhurshid Thahar jaa.en
jam.iyat-e-ḳhatir ke liye bas hai tira dhyan
kyon aise ḳhayalat sameTun jo bikhar jaa.en
Leave a Reply