• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aish Sab Khush Aate Hain Jab Talak Jawani Hai

Aish Sab Khush Aate Hain Jab Talak Jawani Hai

poet

aish sab khush aate hain jab talak javani hai

murda-dil vo hota hai jo ki shekh faani hai

jab talak rahe jiita chahiye hanse bole

aadmi ko chup rahna maut ki nishani hai

jo ki tera ashiq hai us ka ai gul-e-raana

rang-e-zafrani hai ashk-e-arghavani hai

aah ki nahin taqat taab nahin hai naale ki

hijr men tire zalim kya hi na-tavani hai

chaar din ki ishrat par dil laga na duniya se

kahte hain ki jannat men aish-e-javedani hai

gul-rukhan ka ab-o-rang dekhne se mere hai

husn ki gulistan ki mujh ko baghbani hai

dil se kyuun nahin chahun yaar ko ki ai ‘taban’

dil-ruba hai pyara hai jivda hai jaani hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jab Tasawwur Mein Koi Mah-Jabin Hota Hai

Zabt Ki Koshish Hai Jaan-E-Na-Tawan Mushkil Mein Hai

zaKHm-E-Jigar Ko Dast-E-Jarahat Se Puchhiye

poet

Meri Har Fikr Har Ek Soch Ka Mehwar Tu Hai

agha-shayar-qazalbash

Rukhsar Ke Partaw Se Bijli Ki Nai dhaj Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet