• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aisa Nahin Ki Un Se Mohabbat Nahin Rahi

Aisa Nahin Ki Un Se Mohabbat Nahin Rahi

khumar-barabankavi

aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi

jazbat men vo pahli si shiddat nahin rahi

zof-e-quva ne amad-e-piri ki di naved

vo dil nahin raha vo tabiat nahin rahi

sar men vo intizar ka sauda nahin raha

dil par vo dhadkanon ki hukumat nahin rahi

kamzori-e-nigah ne sanjida kar diya

jalvon se chhed-chhad ki aadat nahin rahi

hathon se intiqam liya irtiash ne

daman-e-yar se koi nisbat nahin rahi

paiham tavaf-e-kucha-e-janan ke din gae

pairon men chalne phirne ki taqat nahin rahi

chehre ko jhurriyon ne bhayanak bana diya

aina dekhne ki bhi himmat nahin rahi

allah jaane maut kahan mar gai ‘khumar’

ab mujh ko zindagi ki zarurat nahin rahi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

sajida-zaidi

dil Talabgar Sahi Hashr-Ba-daman Kyun Hai

mirza-ghalib

dekh Kar dar-Parda Garm-E-daman-Afshani Mujhe

Ye Aasman Zamin Ke honT Chumta Hua Na Ho

Subh-E-Azal Se Sham-E-Abad Tak Aana Jaana Hota Hai

Milta Hi Nahin Dard Ka Paikar Koi Mujh Sa

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet