aisa lagta hai ki kar dega ab azad mujhe
meri marzi se udane laga sayyad mujhe
main huun sarhad pe bane ek makan ki surat
kab talak dekhiye rakhta hai vo abad mujhe
ek qisse ki tarah vo to mujhe bhuul gaya
ik kahani ki tarah vo hai magar yaad mujhe
kam se kam ye to bata de ki kidhar jaegi
kar ke ai khana-kharabi miri barbad mujhe
main samajh jaata huun is men koi kamzori hai
mere jis sher pe milti hai bahut daad mujhe
Leave a Reply