• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dagh-E-Dil Hum Ko Yaad Aane Lage

Dagh-E-Dil Hum Ko Yaad Aane Lage

dagh-e-dil ham ko yaad aane lage

log apne diye jalane lage

kuchh na pa kar bhi mutma.in hain ham

ishq men haath kya ḳhazane lage

yahi rasta hai ab yahi manzil

ab yahin dil kisi bahane lage

ḳhud-farebi si ḳhud-farebi hai

paas ke Dhol bhi suhane lage

ab to hota hai har qadam pe guman

ham ye kaisa qadam uThane lage

is badalte hue zamane men

tere qisse bhi kuchh purane lage

ruḳh badalne laga fasane ka

log mahfil se uTh ke jaane lage

ek pal men vahan se ham uTThe

baiThne men jahan zamane lage

apni qismat se hai mafar kis ko

tiir par uḌ ke bhi nishane lage

ham tak aa.e na aa.e mausam-e-gul

kuchh parinde to chahchahane lage

shaam ka vaqt ho gaya ‘baqi’

bastiyon se sharar aane lage

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kyun Na Ho Shauq Tere Dar Pe Jabin-Sai Ka

ameer-minai

Sarakti Jae Hai Rukh Se Naqab Aahista Aahista

poet

KHizan Ka Qarz to Ek Ik daraKHt Par Hai Yahan

Gard-Aluda Faza Binai Gard-Alud Thi

Ek shaKHs Jawan KHak-Basar Yaad to Hoga

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet