ai shab hijr kahin teri sahar hai ki nahin
nala-e-nim-shabi tujh men asar hai ki nahin
jaan par apni main khela huun judai men tiri
be-khabar tujh ko bhi kuchh us ki khabar hai ki nahin
ek muddat hui ham vasf-e-kamar karte hain
par ye maalum nahin us ke kamar hai ki nahin
rakh na sozan ko zara dekh to le ai jarrah
qabil-e-bakhiya mira zakhm-e-jigar hai ki nahin
kya khush aai hai dila manzil-e-hasti tujh ko
sach bata yaan se tira azm-e-safar hai ki nahin
to jo be-parda ho munh ghair ko dikhlata hai
paas mera bhi kuchh ai rashk-e-qamar hai ki nahin
dekh tu ai but-e-be-mehr tiri furqat men
har-bun-e-mue mira dida-e-tar hai ki nahin
us ke dar par hi jo rahta huun main din raat pada
mujh se jhunjhla ke kahe hai tire ghar hai ki nahin
‘mushafi’ us ki gali men jo tu jaata hai sada
apni badnami ka kuchh tujh ko bhi dar hai ki nahin
Leave a Reply