khayal guzre kahan kahan ka irada un ko ho gar yahin ka
na kuchh thikana mire guman ka na kuchh thikana mire yaqin ka
na shauq mujh ko hai hur-e-in ka na pas-e-vaiz hai apne diin ka
jo zikr karna hai gar yahin ka suna na jhagda kahin kahin ka
kharab ku-e-butan hai khilqat yahin se paate hain ranj-o-rahat
siphar-e-gardish men kar na jurat ki daur aaya hai ab zamin ka
shahid hone ki ye tamanna na dil se niklegi dekh lena
uthae khanjar vo haath men kya na yaar sambhle jab astin ka
hazar naale zaban pe laata hazar mahshar abhi dikhata
shab-e-judai agar na aata khayal us chashm-e-surmagin ka
nishan-e-pa-e-adu ne maara ki tere dar par nahin gavara
jhuke jo sajde ko sar hamara mitaen likkha hua jabin ka
kahun matalib sab apne ji ke ye shart kiije ki haan na kiije
kaho nahin phir usi tarah se mujhe hai sunna nahin nahin ka
jo puchhe mujh sa hai koi bad-zan kaho na ahval-e-vasl-e-dushman
ye main ne maana ki tum ho pur-fan ilaaj kya chashm-e-sharmgin ka
milegi mahshar men daad ab kya ada-e-matlab men huun main uljha
bayan pahle hi kyuun kiya tha tumhare gesu-e-ambarin ka
bayan-e-lutf-e-adu jafa hai ye tum se sau-bar kah diya hai
phir ab ki sun lo nahin raha hai hamen bhi zabt ah-e-atshin ka
ajab hai ‘salik’ bhi rind-mashrab ki chhod baitha hai millaten sab
na manta hai kisi ka mazhab na hai ye paband apne diin ka
Leave a Reply