ai saba jazb pe jis dam dil-e-nashad aaya
apni aghosh men ud kar vo pari-zad aaya
mahv-e-abru ke liye khanjar-e-faulad aaya
zabh karna bhi na tujh ko mire jallad aaya
sar-kashi par jo vo sarv-e-sitam-ijad aaya
paas aare ke ghisatta hua shamshad aaya
chashm-e-musa hama-tan ban gaya main hairat se
dekha ik but ka vo aalam ki khuda yaad aaya
dam-e-aghaz-e-junun tauq gulu-gir hua
ghul machane bhi na paae thi ki haddad aaya
kat gae maare khajalat ke javanan-e-chaman
baadh par qad jo tira o sitam-ijad aaya
ashiqon se na raha koi zamana khali
kabhi vamiq kabhi majnun kabhi farhad aaya
dil men ik dard utha ankhon men aansu bhar aae
baithe baithe hamen kya janiye kya yaad aaya
roe ghurbat men hujum-e-gul-e-sahrai par
chaman-e-majma-e-yaran-e-vatan yaad aaya
mizha-e-yar ke nashtar ke hue saudai
khun-e-fasid ki tarah josh men fassad aaya
ban gaya khal-e-jabin kaukab-e-bakht-e-yusuf
kis taraqqi pe tira husn-e-khuda-dad aaya
ariz-e-saf ka khincha na gaya jab naqsha
aaina le ke tire samne bahzad aaya
bait-e-hasti ke ‘saba’ ho gae maani raushan
khvaja-‘atish’ sa zamane men jo ustad aaya
Leave a Reply