kab tasavvur men tire dida-e-tar band kiya
khana-e-aina men tujh ko nazar-band kiya
kya nazakat hai saba us ki kamar ki jis ne
subh-dam tar-e-rag-e-gul se qamar-band kiya
dil ka ahval jo khulta nahin tu ne ai chashm
qasid-e-ashk ko aane se magar band kiya
rahat-e-khvab-e-adam dekh ke sab ne yak-dast
naqsh-e-pa se kaf-e-har-khak men dar-band kiya
dekh ‘maruf’ ki us shokh ne shab ko yak-dast
tair-e-rang-e-hina ko ba-hunar band kiya
Leave a Reply