ai rashk-e-qamar aage tire shams-o-qamar kya
sau jaan se fida huun main ye hai jan-o-jigar kya
ik aan men dete ho jila ishq ke maare
in baton se thi isi-e-mariyam ko ḳhabar kya
ghairat men mohabbat men muravvat men tira misl
paaya nahin ham ne kahin aur hoga bashar kya
din bhar hai tasavvur hai magar baat ko rona
karte hain miyan dekhiye ye dida-e-tar kya
ham tum hain dil-o-jan se agar ek hi ‘mardan’
kahne ko hain vo ek hain ham do hain magar kya
Leave a Reply