raat main shana-e-idrak se lag kar soya
band ki aankh to aflak se lag kar soya
unghta tha kahin mehrab ki sarshari men
ik diya sa kisi chaqmaq se lag kar soya
ek jalta hua aansu jo nahin sota tha
der tak dida-e-namnak se lag kar soya
an-ginat ankhen mire jism pe chundhya.i rahin
buqa-e-nur miri ḳhaak se lag kar soya
kuza-gar ne mire baare men ye daftar men likha
chaak se utra magar chaak se lag kar soya
niind ki shart thi tanha nahin sona mujh ko
hijr tha so usi saffak se lag kar soya
raat kanTon pe guzari to savere socha
kis liye ḳhema-e-ushshaq se lag kar soya
niind suuli pe chali aa.i sau zaḳhm-e-uryan
apni ik ḳhvahish-e-poshak se lag kar soya
Leave a Reply