dil men ab yuun tire bhule hue gham aate hain
jaise bichhde hue kaabe men sanam aate hain
ek ik kar ke hue jaate hain taare raushan
meri manzil ki taraf tere qadam aate hain
raqs-e-mai tez karo saaz ki lai tez karo
su-e-mai-khana safiran-e-haram aate hain
kuchh hamin ko nahin ehsan uthane ka dimagh
vo to jab aate hain mail-ba-karam aate hain
aur kuchh der na guzre shab-e-furqat se kaho
dil bhi kam dukhta hai vo yaad bhi kam aate hain
Leave a Reply