ai rashk-e-mahr koi bhi tujh sa hasin nahin
zohra nahin pari nahin mah-e-mubin nahin
tanha nahin huun qabr men arman vasl kya
hamdam nahin rafiq nahin ham-nashin nahin
aa kar chaman men ah-e-khizan ne ye kya kiya
bela nahin gulab nahin ya samayn nahin
aisa koi nahin jo tire dard-e-hijr se
ghamgin nahin hazin nahin andohgin nahin
uryani-e-badan hai ajab mukhtasar libas
daman nahin hai jeb nahin astin nahin
sharminda kya dahan-o-rukh-o-zulf-e-yar se
ghuncha nahin gulab nahin mushk-chin nahin
badh kar mithas men lab-e-shirin yaar se
misri nahin hai qand nahin angbin nahin
josh-e-junun men ab tire bimar-e-ishq men
danish nahin khirad nahin ra-e-matin nahin
insan hai jahan men vahi aadmi ki jo
zalim nahin haris nahin aib-bin nahin
zardar aur malak hain afsos hind men
chandi nahin tala nahin durr-e-samin nahin
kyunkar kalam ho mira be-misl ‘barq’ men
‘urfi’ nahin ‘kamal’ nahin ‘bin-mubin’ nahin
Leave a Reply