kaun pahchane mujhe shab bhar to ḳhatron men raha
vo andhera huun jo din bhar band kamron men raha
sab ki nazren roz paḌti thiin koi paḌhta na tha
main to har aḳhbar ki gumnam ḳhabron men raha
main ne duniya chhoḌ di lekin mira murda badan
ek uljhan ki tarah qatil ki nazron men raha
aaj ka insan chadar oḌh kar ehsas ki
zindagi ke shahr men ji kar bhi qabron men raha
vaqt ne qatron ko samjha hai samundar ki tarah
jo samundar tha hamesha chand qatron men raha
jis ko baḳhsha hai ḳhuda ne fikr ka jazba ‘nazir’
vo purani aur na.i saari hi qadron men raha
Leave a Reply