main ne jab khvab nahin dekha tha
tujh ko betab nahin dekha tha
us ne simab kaha tha mujh ko
main ne simab nahin dekha tha
hijr ka baab hi kaafi tha hamen
vasl ka baab nahin dekha tha
chand men tu nazar aaya tha mujhe
main ne mahtab nahin dekha tha
vo jo nayab hua jaata hai
us ko kamyab nahin dekha tha
ek machhli hi nazar aai mujhe
main ne talab nahin dekha tha
Leave a Reply