pa.in har ek rah-guzar par udasiyan
nikli hui hain kab se safar par udasiyan
ḳhvabida shahr jagne vaala hai lauT aao
baiThi hui hain shaam se ghar par udasiyan
main ḳhauf se larazta raha paḌh nahin saka
phaili hui thiin ek ḳhabar par udasiyan
suraj ke haath sabz qabaon tak aa ga.e
ab hain yahan har ek shajar par udasiyan
apne bhi ḳhatt-o-ḳhal nigahon men ab nahin
is tarah chha ga.i hain nazar par udasiyan
phaila raha hai kaun kabhi sochta huun main
ḳhvabon ke ek ek nagar par udasiyan
sab log ban ga.e hain agar ajnabi to kya
chhoḌ a.engi mujhe mire dar par udasiyan
Leave a Reply