ai ku-e-yar tere zamane guzar gae
jo apne ghar se aae the vo apne ghar gae
ab kaun zakhm o zahr se rakkhega silsila
jiine ki ab havas hai hamen ham to mar gae
ab kya kahun ki saara mohalla hai sharmsar
main huun azaab men ki mire zakhm bhar gae
ham ne bhi zindagi ko tamasha bana diya
us se guzar gae kabhi khud se guzar gae
tha ran bhi zindagi ka ajab turfa majra
yaani uthe to paanv magar ‘jaun’ sar gae
Leave a Reply