ai dost koi mujh sa rusva na hua hoga
dushman ke bhi dushman par aisa na hua hoga
ab ashk-e-hinai se jo tar na kare mizhgan
vo tujh kaf-e-rangin ka maara na hua hoga
tak gor-e-ghariban ki kar sair ki duniya men
un zulm-rasidon par kya kya na hua hoga
be-nala-o-be-zari be-khastagi-o-khvari
imroz kabhi apna farda na hua hoga
hai qaeda kulli ye ku-e-mohabbat men
dil gham jo hua hoga paida na hua hoga
is kohna-kharabe men abadi na kar munim
yak shahr nahin yaan jo sahra na hua hoga
ankhon se tiri ham ko hai chashm ki ab hove
jo fitna ki duniya men barpa na hua hoga
juz martaba-e-kal ko hasil kare hai akhir
yak qatra na dekha jo dariya na hua hoga
sad nashtar-e-mizhgan ke lagne se na nikla khuun
aage tujhe ‘mir’ aisa sauda na hua hoga
Leave a Reply