ai aah tiri qadr asar ne to na jaani
go tuj ko laqab ham ne diya arsh-makani
yak khalq ki nazron men subuk ho gaya lekin
karta huun main ab tak tiri khatir pe girani
tuk dida-e-tahqiq se tu dekh zulekha
har chaah men aata hai nazar yusuf-e-sani
mamur hai jis roz se virana-e-duniya
har jins ke insan ki ye maati gai chhani
ik vamiq-e-nau ka hai samajh chaak gareban
karti hai jo rakhna koi divar purani
bulbul hi sisakti na thi kuchh baagh men tujh bin
shabnam gulon ke munh men chuvati rahi paani
hai gosh-zada khalq mira qissa-e-jan-kah
jab se ki na samjhe tha tu chidiya ki kahani
juun shama mujhe sharm hai zunnar ki ai shaikh
maala na japun raat ko be-ashk-fishani
jis samt nazar mauj-e-sarab aave to ye jaan
hovegi kisi zulf-e-chalipa ki nishani
kya kya mile laila-manshan khaak men ‘sauda’
go apne bhi mahbub ki dekhi na javani
Leave a Reply