ahl-e-dil ne ishq men chaha tha jaisa ho gaya
aur phir kuchh shaan se aisi ki socha ho gaya
aib apni aankh ka ya faiz tera kya kahun
ghair ki surat pe mujh ko tera dhoka ho gaya
tujh se ham-ahang tha utna kashish jaati rahi
main tira ham-qafiya tha aib-e-ita ho gaya
yaad ne aa kar yakayak parda khincha duur tak
main bhari mahfil men baiTha tha ki tanha ho gaya
kashti-e-sabr-o-tahammul meri tufani hui
raat ko tera badan jab mauj-e-dariya ho gaya
kya hua gar tere honTon ne masiha.i na ki
teri ankhen dekh kar bimar achchha ho gaya
ishq miTTi ka ajab tha mujh ko bachpan men ‘salim’
khel men kya sochta main jism maila ho gaya
Leave a Reply