gham ki jo lazzaten hain unhen javedan bana
dard-e-nihan ko chara-e-dard-e-nihan bana
ummid-o-yas jis men na hon vo jahan bana
ya.ani na.i zamin naya asman bana
aur arzu-e-sair-e-chaman ko bahar men
aur ai asir-e-kunj-e-qafas ashiyan bana
mashq-e-vafa men kya kahun ye gham-nasib dil
kin mushkilon se ḳhugar-e-zabt-e-fughan bana
vahm-o-ḳhayal par bhi tasallut hai barq ka
vahm-o-ḳhayal men bhi na ab ashiyan bana
taḳhrib hi men jalva-e-ta.amir tha nihan
jis shaḳh par miTa tha vahin ashiyan bana
kah de zaban-e-hal se rudad-e-gham ‘shifa’
apni ḳhamoshiyon hi ko apni zaban bana
Leave a Reply