• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Badli Hui Hai Charkh Ki Raftar Aaj-Kal

Badli Hui Hai Charkh Ki Raftar Aaj-Kal

poet

badli hui hai charkh ki raftar aj-kal

ho band rast-goi ka bazar aj-kal

ilm-o-hunar hai mulk ko darkar aj-kal

ham khud bhale-bure ke hain mukhtar aj-kal

hai aur hi tariqa-e-bazar aj-kal

jins-e-nafis ke hain kharidar aj-kal

ghaflat ka daur mulk se shayad guzar gaya

makhluq hoti jaati hai bedar aj-kal

gul-guna-e-taraqqi-e-tahzib-o-alam se

shukr-e-khuda ki surkh hain rukhsar aj-kal

kyuun jante hain sanat-o-hirfat ko bagh-e-khuld

ghairon ki ham nigah men hain khaar aj-kal

raushan hai apni be-hunari aftab se

hai subh ke qarib shab-e-tar aj-kal

bigdi hui hai mai-kada-e-dahr ki hava

ho jaaen shaikh-ji bhi na mai-khvar aj-kal

kya kaam in safed chudailon ka hind men

kyuun aisi shadiyon ki hai bhar-mar aj-kal

har chiiz ki girani ne viran kar diya

sarf-e-khizan hai hind ka gulzar aj-kal

is baagh men hai bad-e-khizan o bad-e-qaht

har gul ke dil men hai khalish-e-khar aj-kal

bhule hain apne farz ko ye khvajgan-e-hind

haq dene men bhi karte hain inkar aj-kal

shukr-e-khuda ki zulm se maazur hai falak

bartaniya hai khalq ki gham-khvar aj-kal

yarab hamare dil ko tu apni panah de

dildar ho gae hain dil-azar aj-kal

makhsus ho chuki hain iradi ghulamiyan

hai ik anaar saikdon bimar aj-kal

ek ek kar ke jitne hunar the vo chhin gae

ham zindagi se kyuun na hon bezar aj-kal

ik jurm aur fard-e-jaraem men badh gaya

yaani na dard-e-dil ka ho izhar aj-kal

jiine ki fikr kijiye aur pet ka khayal

mauquf kiije ishq ka azar aj-kal

pabandiyan bhi chahiyen insan ko zarur

azadiyon ki kyuun hai ye bhar-mar aj-kal

milta nahin kahin dahan-e-yar hai anaaj

faqon se jism hai kamar-e-yar aj-kal

hai tang-dastiyon ke sabab zoaf is qadar

sab ki hain ankhen nargis-e-bimar aj-kal

lakhon muhal aqli o aadi sahi magar

kasb-e-maash sab se hai dushvar aj-kal

kya kiije tar nivalon ka mausam nahin raha

chipke hue hain yaar ke rukhsar aj-kal

faqon se hai ye haal agar tol kar bithaen

aadhe ticket men jaae tan-e-zar aj-kal

gul kar diya charagh-e-maishat tu ai hava

meada ke bhi na ghis gae kyuun khaar aj-kal

charon taraf buland hai fariyad haae haae

matam-kada hai qahqah-e-divar aj-kal

daulat jab aaegi ki vahi chiiz ham banaen

jo chiiz chahte hon kharidar aj-kal

behtar hai kar-khanon se ho mulk ka bhala

ugalen gade khazanon ko zardar aj-kal

sanat ka naam ganj hai hirfat ka naam zar

ilm-e-shikam hai mulk ko darkar aj-kal

‘parvin’ ki ye dua hai rahe amn mulk men

rabb-e-ghafur tu hi hai gham-khvar aj-kal

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hain Agar Dar-O-Rasan Subh-E-Munawwar Ke Ewaz

Bahe Sath Ashk Ke laKHt-E-Jigar Tak

Abhi Hayat Ka Mahaul Sazgar Kahan

Jo Kah Rahe Hain Ye Andaz Mujrimana Hai

Kuchh Din Ki Raunaq Barson Ka Jina

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet