agarche roz-e-azal bhi yahi andhera tha
tiri jabin se nikalta hua savera tha
pahunch saka na main bar-vaqt apni manzil par
ki raste men mujhe rahbaron ne ghera tha
tiri nigah ne thodi si raushni kar di
vagarna arsa-e-kaunain men andhera tha
ye kaenat aur itni sharab-aluda
kisi ne apna khumar-e-nazar bikhera tha
sitare karte hain ab us gali ke gird tavaf
jahan ‘adam’ mire mahbub ka basera tha
Leave a Reply