agar us ka mira jhagḌa yahin tai ho to achchha ho
ḳhuda jaane ḳhuda ke samne kal kya na ho kya ho
guzarti hai bashar ki zindagi kis vahm-e-batil men
jo aisa ho to aisa ho jo aisa ho to aisa ho
shab-e-ḳhalvat ye kahna baar baar us ka banavaT se
hamen chheḌe to gharat ho hamen dekhe to andha ho
vo har dam ki ayadat se miri ghabra ke kahte hain
ghazab men jaan hai apni na mar jaa.e na achchha ho
vo farmate hain mujh ko dekh kar main yuun na manunga
agar ye ‘nuh’ hai tufan uTha.e gharq-e-duniya ho
Leave a Reply