agar hai manzur ye ki hove hamare siine ka daagh thanda
to aa lipatiye gale se ai jaan jhamak se kar jhap charagh thanda
ham aur tum jaan ab is qadar to mohabbaton men hain ek tan man
lagaya tum ne jabin pe sandal hua hamara dimagh thanda
labon se lagte hi ho gai thi tamam sardi dil-o-jigar men
diya tha saaqi ne raat ham ko kuchh aise mai ka ayagh thanda
darakht bhige hain kal ke menh se chaman chaman men bhara hai paani
jo sair kiije to aaj sahab ajab tarah ka hai baagh thanda
vahi hai kamil ‘nazir’ is ja vahi hai raushan-dil ai azizo
hava se duniya ki jis ke dil ka na hove hargiz charagh thanda
Leave a Reply