ada ke tausan par us sanam ko jo aaj ham ne savar dekha
to hilte hi tuk inaan ke kya kya kuchalte sabr-o-qarar dekha
jhapak pe mizhgan ke jab nigah ki to us ne ik pal men hosh udaya
jo chashm-o-ghamza ki tarz dekhi to jaadu is ka shiar dekha
jo dekhi us ki vo tegh-e-abru to ji ko haibat ne aan ghera
nigah jo kakul ke daam par ki to dil ko is ka shikar dekha
hina jo hathon men us ke dekhi to rang dil ka hua ajab kuchh
kamar bhi dekhi to aisi nazuk ki ho bhi is par nisar dekha
vo dekh leta hamari janib to is men hoti kuchh aur khubi
par us ne hargiz idhar na dekha ‘nazir’ ham ne hazar dekha
Leave a Reply