achchhi surat pe ghazab tuut ke aana dil ka
yaad aata hai hamen haae zamana dil ka
tum bhi munh chuum lo be-sakhta pyaar aa jaae
main sunaun jo kabhi dil se fasana dil ka
nigah-e-yar ne ki khana-kharabi aisi
na thikana hai jigar ka na thikana dil ka
puuri mehndi bhi lagani nahin aati ab tak
kyunkar aaya tujhe ghairon se lagana dil ka
ghuncha-e-gul ko vo mutthi men liye aate the
main ne puchha to kiya mujh se bahana dil ka
in hasinon ka ladakpan hi rahe ya allah
hosh aata hai to aata hai satana dil ka
de khuda aur jagah siina o pahlu ke siva
ki bure vaqt men ho jaae thikana dil ka
meri aghosh se kya hi vo tadap kar nikle
un ka jaana tha ilahi ki ye jaana dil ka
nigah-e-sharm ko be-tab kiya kaam kiya
rang laaya tiri aankhon men samana dil ka
ungliyan tar-e-gareban men ulajh jaati hain
sakht dushvar hai hathon se dabana dil ka
huur ki shakl ho tum nuur ke putle ho tum
aur is par tumhen aata hai jalana dil ka
chhod kar us ko tiri bazm se kyunkar jaun
ik janaze ka uthana hai uthana dil ka
be-dili ka jo kaha haal to farmate hain
kar liya tu ne kahin aur thikana dil ka
baad muddat ke ye ai ‘dagh’ samajh men aaya
vahi daana hai kaha jis ne na maana dil ka
Leave a Reply