abhi makan main abhi su-e-la-makan huun main
tire ḳhayal tiri dhun men huun jahan huun main
kali kali mutabassim hai arzuon ki
qadam qadam pe mohabbat men kamran huun main
nava nava men miri zindagi machalti hai
rabab-e-husn-o-mohabbat pe naghma-ḳhvan huun main
mira tajassus-e-paiham hai zindagi-amoz
mujhe qarar nahin hai ravan-davan huun main
jahan tamam agar mujh se sargiran hai to kya
ba-zat-e-ḳhud bhi to ik mustaqil jahan huun main
fana ki zad se hai mahfuz zindagi meri
shi.ar apna mohabbat hai javedan huun main
ye e.atibar-e-gul-o-gulsitan mujhi se hai
ye aur baat ki parvarda-e-ḳhizan huun main
ye kaun dekh raha hai mujhe hiqarat se
ghubar-e-rah nahin mir-e-karvan huun main
Leave a Reply