abas kyuun umr sone men ganvaya
jo koi jaaga so apne piv ko paaya
musafir raah par sona bhala nahin
jo koi soya vahi hasrat lajaya
jatan hoshyar le ja maal aur dhan
jahan men aa ke tu jo kuchh kamaya
agar koi so rahe rah men ḳhatar ke
ganvaya maal apne ko khapaya
‘alimullah’ sota tha ḳhvab men mast
karim apna karam kar kar jagaya
Leave a Reply