ab zard libāde bhī nahīñ ḳhushk shajar par
jis samt nazar uThtī hai be-rañg hai manzar
utre haiñ mirī āñkhoñ meñ javoñ ke sahīfe
ḳhvāboñ kā farishta huuñ maiñ ġhazloñ kā payambar
biite hue lamhoñ se mulāqāt agar ho
le aanā havāo zarā ik baar mire ghar
itrāo na mastī meñ javāñ-sāl parindo
purvā.ī ke jhoñkoñ se bhī kaT jaate haiñ shahpar
aa jaate haiñ jab bhī tirī ḳhushbū ke bulāve
pechīda savālāt kiyā kartā hai bistar