ab vafa ka subut kya duun main
saari duniya kaho bhula duun main
main ne apnon se duur jaana hai
zindagi aa tujhe sula duun main
ik tiri zid na TuTne paa.i
varna to arsh tak hila duun main
tum mujhe maut ki dua.en do
zindagi ki tujhe dua duun main
tum jafaon men kya karoge kami
gar vafa.en zara baḌha duun main
behtari to isi men hai ‘shakir’
dil se maazi ko ab miTa duun main
Leave a Reply