ashk ankhon se dam-e-zabt ravan hota hai
jab koi dard haqiqat ki zaban hota hai
ḳhuun rista hai to aati hai gul-e-surḳh ki yaad
zaḳhm dekhen to baharon ka guman hota hai
ham ne aslaf ke kirdar kiye hain zinda
varna tariḳh ko ehsas kahan hota hai
har qadam gham ki salibon se guzarna hoga
marhala dard ka asan kahan hota hai
ishq ehsas-o-kam-o-besh ka paband nahin
jab havas ho to gham-e-sud-o-ziyan hota hai
arsa-e-dahr men insan ki haqiqat ma.alum
ek tinka jo sar-e-ab-e-ravan hota hai
sabza pamal gul afsurda chaman pazhmurda
kyuun ba-in-shakl baharon ka guman hota hai
manzar-e-dard ne ehsas na rakkha baaqi
dekh lete hain magar hosh kahan hota hai
aap ki zarra-navazi hai jo is qabil huun
varna sha.ir men koi vasf kahan hota
gham jo baḳhsha hai mujhe tu ne ghazal ki surat
ḳhuun pi pi ke shab-o-roz javan hota hai
fasl-e-gul men dil-e-vahshi ka chalan mat puchho
aise mausam men to ye afat-e-jan hota hai
kaun ‘anjum’ ke muqabil hai sar-e-bazm-e-suḳhan
munfarid aap ka andaz-e-bayan hota hai
Leave a Reply