• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Maktab Mein Tujhe Dekh Kise Hosh-E-Sabaq Hai

Maktab Mein Tujhe Dekh Kise Hosh-E-Sabaq Hai

poet

maktab men tujhe dekh kise hosh-e-sabaq hai

har tifl ke yaan ashk se aluda varaq hai

huun muntazir us mahr ke aane hi ka varna

shabnam ki tarah ankhon men dam koi ramaq hai

dekh ai chaman-e-husn tujhe baagh men ḳhandan

shabnam nahin ye gul pe ḳhajalat se araq hai

vo chand sa munh surḳh dupaTTa men hai raḳhshan

ya mahr kahun jalva-numa zer-e-shafaq hai

nargis ki zar-o-gul pe bhi va chashm-e-tama hai

is par ki zar-o-sim ka us paas tabaq hai

dil us but-e-be-mehr ko de muft hi khoya

kahte hain jo kuchh yaar mujhe vaqa.i haq hai

juz tere nahin ghair ko rah dil ke nagar men

jab se ki tire ishq ka yaan nazm-o-nasaq hai

mazkur hua yaan magar us gul ke dahan ka

jo rashk se har ghuncha ka dil baagh men shaq hai

kar masqala-e-zikr se dil saaf tu apna

‘bedar’ ye a.ina tajalli-gah-e-haq hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aapko Mujhse Mohabbat Bhi Nahin

Guman KHak Mein Sab Ke Milane Wala Hai

Na Dagmagae Kabhi Hum Wafa Ke Raste Mein

Yun Lagta Hai Jaise Hum Dariya Ke ruKH Par Rahte Hain

Patthar Ki Qaba Pahne Mila Jo Bhi Mila Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet