kahin dariya nahin hota kahin sahra nahin hota
zarurat par hamari koi bhi apna nahin hota
kahani ḳhatm ho jaati koi sadma nahin hota
bichhaḌte vaqt vo chhup kar agar roya nahin hota
batao kaun si shai ki kami hai mere paikar men
mujhe samjhao mera aks kyuun samjha nahin hota
tumhari yaad ke saa.e men yuun har-vaqt rahta huun
main tanha rah bhi ja.un to kabhi tanha nahin hota
mohabbat men yahi nazargi to lutf deti hai
koi khiḌki nahin hoti koi parda nahin hota
tasalli aur dilase sab ke sab be-kar jaate hain
na jaane kis tarah bikhra huun main yakja nahin hota
use tum dhuup men barsat men kohre men rakh dekho
‘pavan’ vo aa.ina hai jo kabhi dhundhla nahin hota
Leave a Reply