ab to soch liya hai yaaro dil ka ḳhuun ho jaane duun
jin logon ne dard diya hai main un ko afsane duun
aur zara si der men thak kar so ja.enge taare bhi
kab tak ghayal honTon ko main giit birah ke gaane duun
apne junun ka siina chhalni hone duun main kab tak aur
itne saare farzane hain kis kis ko samjhane duun
kab tak vo malhar ki tanen qaid men rakkhen dekhun to
ab to dipak raag alapun aur ḳhud ko jal jaane duun
main majbur akela raahi lekin rahbar itne hain
kis kis ki agvahi manun kis kis ko bahkane duun
Leave a Reply