• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Meri Jaan Ranj Ghataiye Qadam Aage Ab Na Badhaiye

Meri Jaan Ranj Ghataiye Qadam Aage Ab Na Badhaiye

poet

miri jaan ranj ghataiye qadam aage ab na badhaiye

idhar aaiye idhar aaiye idhar aaiye idhar aaiye

khade kab se ham sar-e-rah hain kahin mar chuken ki tabah hain

hadaf-e-khadang-e-nigah hain zara aankh idhar bhi milaiye

bhala aana aap ka kaam hai ye ghalat tamam kalam hai

aji bas hamara salam hai kahin aur baten banaiye

tah-e-tegh tez hai ik jahan koi kushta hai koi nim-jan

jo na ho daregh tu mehrban koi haath idhar bhi lagaiye

kabhi mai se munh ko na modiye havas-e-sharab na chhodiye

sar-e-mohtasib hai na todiye jo kamal-e-ghaiz par aaiye

ye kamal-e-lutf hai saqiya yahi hai havas yahi muddaa

rahe hosh-e-sar na khayal-e-pa agar aisi mai hai to laiye

jo vufur-e-chashm-e-pur-ab ho to jahan takhta-e-ab ho

abhi nuuh ka sa azaab ho agar ashk chand bahaiye

vo kaha adu se hai main ne kya ki hue hain aap jo yuun khafa

ye ghazab ye jhuut ye iftira mire samne to bulaiye

ghazal aisi kamil-e-vazn sun mutafailun mutafailun

hai ‘nasim’ taqat-e-hosh sun koi sher aur sunaiye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Gaya Ki Sail-E-Rawan Ka Bahaw Aisa Tha

poet

Chahne Par Bhi Na Chaha Hum Ko

poet

Ajab Hi Dhang Se Ab Anjuman-Arai Hoti Hai

Kya KHabar Apne Thikane Ki Taraf lauT Aae

shahryar

Bhuli-Bisri Yaadon Ki Baraat Nahin Aai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet