ab tak isi ḳhayal men uljha hua huun main
apne badal ga.e hain ki badla hua huun main
divar-o-dar ko dekh ke lagta hai dilbara
teri gali se pahle bhi guzra hua huun main
bikhre hue se baal hain daman hai taar taar
puuri tarah se hijr men sanvara hua huun main
shayad ki ek roz vo aa kar sameT le
muddat se ku-e-yar men bikhra hua huun main
bada-kashi ke ba.ad to aaya huun hosh men
duniya samajh rahi hai ki bahka hua huun main
ya-rab ye zindagani men kaisa jumud hai
Thahra hua hai vaqt ya Thahra hua huun main
aaya huun apne shahr to lagta hai yuun ‘zaki’
jaise ki ek dasht men bhaTka hua huun main
Leave a Reply