ab niind kahan a.ankhon men sho.ala sa bhara hai
ye tapte hue honTon ko takne ki saza hai
ashob jahan-guzaran ne ye kiya hai
is daur ka har fard-o-bashar abla-pa hai
ai shabnam-e-giryan tujhe is ka bhi pata hai
kaliyon ka tabassum bhi bahut dard-numa hai
har ahl-e-havas zinat-e-ḳhalvat-kada-e-naz
har ahl-e-vafa aaj sar-e-dar khaḌa hai
ik nur-e-mujassam ke parastar hain ‘aḳhtar’
ham kah nahin sakte hain vo but hai ki ḳhuda hai
Leave a Reply