• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ab Mujhe Gulshan Se Kya Jab Zer-E-Dam Aa Hi Gaya

Ab Mujhe Gulshan Se Kya Jab Zer-E-Dam Aa Hi Gaya

ab mujhe gulshan se kya jab zer-e-dam aa hi gaya

ik nasheman tha so vo bijli ke kaam aa hi gaya

sun ma.al-e-soz-e-ulfat jab ye naam aa hi gaya

sham.a aḳhir jal-bujhi parvana kaam aa hi gaya

talib-e-didar ka israr kaam aa hi gaya

samne koi ba-husn-e-intizam aa hi gaya

koshish-e-manzil se to achchhi rahi divangi

chalte-phirte un se milne ka maqam aa hi gaya

raz-e-ulfat marne vaale ne chhupaya to bahut

dam nikalte vaqt lab par un ka naam aa hi gaya

kar diya mash.hur parde men tujhe zahmat na di

aaj ko hona hamara tere kaam aa hi gaya

jab uTha saaqi to vaa.iz ki na kuchh bhi chal saki

meri qismat ki tarah gardish men jaam aa hi gaya

husn ko bhi ishq ki zid rakhni paḌti hai kabhi

tuur par muusa se milne ka payam aa hi gaya

der tak bab-e-haram par ruk ke ik majbur-e-ishq

su-e-but-ḳhana ḳhuda ka le ke naam aa hi gaya

raat bhar mangi dua un ke na jaane ki ‘qamar’

sub.h ka taara magar le kar payam aa hi gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ain-irfan

Khud Apne Sath dhoka Kyun Karun Main

Kar-Zar-E-Dahr Mein Kya Nusrat-O-Gham Dekhna

poet

Chamke Hain Sab Ke Bakht Teri Jalwa-Gah Mein

poet

Zargar-O-Haddad KHush Hon Wo Karen Tadbir Hum

Koi Mahram Nahin Milta Jahan Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet