gila ai dil abhi se karta hai
ishq ka dam usi pe bharta hai
jaan deta hai aish-e-fani par
bas isi zindagi pe marta hai
rahat-e-javedan ko bhuul gaya
koi duniya men ye bhi karta hai
ishq ban kar jiye to ḳhaak jiye
zinda vo hai jo un pe marta hai
naam par us ke sab jo de baiTha
vahi ik hai jo naam karta hai
vaqf momin hai azmaish-e-ishq
is men puura vahi utarta hai
jis ko duniya ne na-murad kiya
vahi nakam kaam karta hai
hai musalman ki bas yahi pahchan
ki faqat ik ḳhuda se Darta hai
qaul-e-momin hai us ke fel ki sharh
vo jo kahta hai kar guzarta hai
mutma.in rah dila vo jan-e-jahan
vaada kar ke kahin mukarta hai
mere rang-e-kafan ki shoḳhi dekh
yuun hi ashiq tira sanvarta hai
aaj kar lo jo kar sako kal tak
kaun jiita hai kaun marta hai
qulzum-e-ishq men gira so gira
us ka Duuba kahin ubharta hai
is qadar ehtiyat ai sayyad
ki qafas men bhi par katarta hai
vahi din hai hamari iid ka din
jo tiri yaad men guzarta hai
mai-e-islam ka bhala ‘jauhar’
nashsha chaḌh kar kahin utarta hai
Leave a Reply