• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ab Meri Nigahon Mein Auj Hai Na Pasti Hai

Ab Meri Nigahon Mein Auj Hai Na Pasti Hai

poet

ab miri nigahon men auj hai na pasti hai

ek sail-e-mad-hoshi ik hujum-e-masti hai

ai nigah-e-na-mahram ishq ki vo basti hai

jis qadar ujaḌti hai us qadar hi basti hai

ashiqi-o-mahbubi aa.ine ke do ruḳh hain

husn ek baada hai ishq ek masti hai

jazba-e-ibadat ko rakh jaza se begana

varna haq-parasti bhi ik havas-parasti hai

dil ki pa.emali ka gham to kuchh nahin lekin

aisi pur-faza basti mushkilon se basti hai

dida-var koi dekhe shan-e-pir-e-mai-ḳhana

is ḳhudi ke chehre se be-ḳhudi barasti hai

himmaton ke bal uTTho ḳhud-ravi ke bal niklo

laghzishon ke bal chalna nang-e-mai-parasti hai

aadmi ke chehre par bandagi nahin rahti

varna ḳhud-parasti bhi ik ḳhuda-parasti hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jhuka Hua Hai Jo Mujh Par Wajud Mera Hai

Ta-Abad Ek Hi Charcha Hoga

Shahr Ka Rog Hai Jis Samt Bhi Bas Jaega Tu

riyaz-khairabadi

dushman Ki Taraf Ho Ke Nikalne Nahin dete

noon-meem-rashid

Andha Kabaadi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet