kaha ye main ne ki apni ankhon men ḳhvab rakhna
kaha ye us ne ki aankh rakhna azaab rakhna
ye main ne puchha tha log kyuun mar rahe hain itne
javab aaya tum un ke ḳhuun ka hisab rakhna
kaha ye main ne zamin par amn ho sakega
kaha ki hathon men alam rakhna kitab rakhna
kaha ye main ne ki zindagi kis tarah kaTegi
kaha ye us ne ki chahatin be-hisab rakhna
kaha ye main ne hava.en hain tund-o-tez kitni
vo hans ke boli ki kashtiyan zer-e-ab rakhna
kaha ye us ne ki da.ere se nikal ke dekhen
kaha ki pahle koi safar intiḳhab rakhna
kaha ye us ne ki bhiiḌ men ham bichhaḌ na jaa.en
kaha ki juuḌe men ek taaza gulab rakhna
kaha ye us ne ki ham agar sach ka saath den to
kaha ye main ne ki sahne ki taab rakhna
Leave a Reply