ab kisi se mira hisab nahin
meri ankhon men koi khvab nahin
khuun ke ghunt pi raha huun main
ye mira khuun hai sharab nahin
main sharabi huun meri aas na chhin
tu miri aas hai sarab nahin
noch phenke labon se main ne saval
taqat-e-shokhi-e-javab nahin
ab to punjab bhi nahin punjab
aur khud jaisa ab do-ab nahin
gham abad ka nahin hai aan ka hai
aur is ka koi hisab nahin
budash ik ru hai ek ru yaani
is ki fitrat men inqalab nahin
Leave a Reply