ab ke sahra men ajab barish ki arzani hui
fasl-e-imkan ko numu karne men asani hui
pyaas ne ab-e-ravan ko kar diya mauj-e-sarab
ye tamasha dekh kar dariya ko hairani hui
sar se saare ḳhvan ḳhushbu ke bikhar kar rah ga.e
ḳhak-e-ḳhema tak hava pahunchi to divani hui
duur tak uḌne lagi gard-e-sada zanjir ki
kis qadar divar-e-zindan ko pashemani hui
tum hi sadiyon se ye nahren band karte aa.e ho
mujh ko lagti hai tumhari shakl pahchani hui
Leave a Reply