ab jo dekha to dastan se duur
uTh raha tha dhuan chaTan se duur
dekhna kya makan ki janib
ab yahan baiTh kar makan se duur
hijr kis aankh ka sitara hai
raqs karta hai asman se duur
zindagi ka koi hadaf to bana
dil koi said kar kaman se duur
janta huun zamin kis ki hai
baiTh jaata huun sa.eban se duur
dil vo atish-kada ki raushan hai
shahr-e-shiraz o shervan se duur
laḌ raha huun ‘rasa’ qabila-var
‘mir’-o-‘mirza’ ke ḳhandan se duur
Leave a Reply